Tuesday, October 11, 2005

Current Songs

Daur-e-junoon mein kya kya soojhi, kya kya humne kar daala
Khud hi gareeban phaad liya hai, khud hi gareeban seete hai
Jeena humko raas na aaya, hum jaane kyun jeete hai
Kya saawan kya bhadon apne, har din rote beete hai...*

Hum jis chaman ko sajaate rahe, hum sajaate rahe
Ussimein humein zakhm khaane pade, khaane pade
Aur ab khizaan ko gale se lagaake, bahaaron ke maatam manane pade
Khabar kya the, khushi ke jaam ke badle
Zeher gham ka peena padega humein
Kabhi humnein nahin socha tha...**

Motiyon jaise taare aanchal mein hai saare
Haaye re phir kya maange re bhikaaran raat
Roj akeli aaye, roj akeli jaaye
Chaand katora liye bhikaaran raat
Roj akeli aaye, roj bechaari jaaye... ***

Yeh gham kabhi khushi ka armaan banke aaya
Hanste hue yeh dil mein mehmaan banke aaya
Ghar se isse nikaalo, iss gham ko maar daalo...
Din ko tadapte hai woh, raaton ko jaagte hain
Naadan hai bade woh jo gham se bhaagte hain
Hanskar gale lagaalo, iss gham ko maar daalo
Hum ko bhi gham ne maara, Tumko bhi gham ne maara,
Hum sabko gham ne maara, iss gham ko maar daalo...****

Dil ki tasalli ke liye jhooti chamak jhootha nikhaar
Jeevan toh soona hi raha sab samajhe aayi hai bahaar
Kaliyon se koi poochta hansti hai woh ya roti hai
Aisi baatein hoti hai, aisi bhi baatein hoti hai
Kuchh dil ne kaha, kuchh bhi nahi...*****

Pahla sa rang nahin, kaliyon mein teri
Nahin woh mehak galiyon mein teri
Raani teri raat ki woh kahan kho gayi
Haaye ri tu aaj kya se kya hogayi
Kaahe ab ki ae bahaar pheeka hai har khumaar
Tujhme jo baat thi woh kahan kho gayi... ******


Wafaa ke naam pe dhoke hi diye jaate hai
Todne hi ke liye waade kiye jaate hai...
Koi apna na hua saari zindagi ke liye
Bahut hai pyaar jo mil jaaye do ghadi ke liye...*******

Dena na yaaro, yaaron ko mauqa
Varna woh denge yaari mei dhoka
Yeh satta kaise, ban gaya ikka,
Kya khoob toone badla hai patta
O bekadar, bedardi, sadqe tere jaan kardee... +

Na poochho ke pyaar kee jo humne haqeeqat dekhi
Wafaa ke naam pe bikte hue ulfat dekhi
Kisi ne loot liya, Aur humein khabar na hui
Khuli jo aankh to, Barbaad muhabbat dekhi
Sab kuchh luta ke hosh mein aaye toh kya
Din mein agar chiraag jalaye toh kya kiya...++


Ajeeb hai dil ke dard yaaron na ho toh mushquil hai jeena isska
Jo ho to har dard ek heera, har ek gham hai nageena isska,
Zeehal e musqin mukon baranjish, Bahaal-e-hijra bechaara dil hai...+++

Matlabi hai log yahan par, Matlabi zamaana
Socha saaya saath dega, Nikla woh Begaana,
Begaana - apno mein main begaana...++++


*Jeena humko raas na aaya from Raat Aur Din; Singer:Lata Mangeshkar;Music:Shankar Jaikishan; Lyric:Shailendra
**Kabhi humne from Lalkaar; Singer: Lata Mangeshkar; Music: Kalyanji Anandji; Lyric: Indeewar
***Roj akeli aaye from Mere Apne; Singer: Lata Mangeshkar; Music: Salil Choudhry; Lyric: Gulzar
****Humko bhi gham ne from Aas Paas; Singer: Lata Mangeshkar; Music: Laxmikant Pyarelal; Lyric: Anand Bakshi
*****Kuchh dilne kaha from Anupama; Singer: Lata Mangeshkar; Music: Hemant Kumar; Lyric: Kaifi Azmi
******Kaahe ab ki ae bahaar from Nargis; Singer: Lata Mangeshkar; Music: Basu Chakraborty
*******Koi apna na hua from Gul - E - Balkawash; Singers: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar; Music: Rajesh Roshan
+O bekhabar bedardi from Desh Premee; Singer: Lata Mangeshkar; Music: Laxmikant Pyarelal;Lyric: Anand Bakshi
++Sab kuchh luta ke from Ek Saal; Singer: Lata Mangeshkar; Music: Ravi; Lyric: Pradeep
+++Zeehal-e-musqin from Ghulami;Singers:Lata Mangeshkar,Shabbir Kumar;Music:LaxmikantPyarelal;Lyric:Gulzar
++++Socha saaya from Begaanah ; Singer: Kishore Kumar ; Music: Anu Mallik

|

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

the songs words are so true...nothings good nothing..life and its nothingness are just too much to handle

6:21 am  

Post a Comment

<< Home